Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwaja Baqi Billaah

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Baqi Billah Rahmatullah Alayh ki wiladat 5 zulhajah 971 ya 972 Hijri  mein Kabul mein hui. tasawuf o tareqat ki taleem Hazrat Muhammad Waaqif Amakangi Rahmatullah Alayh se haasil ki. neki taqwa o salahiyat ke paish  e nazir Hazrat Muhammad Amakangi Rahmatullah Alayh ne aap ko ijazat o khilafat se nawaz kar ashaat e islam ke liye Hindustan bheja. Aap hi pehlay woh buzurag hain jinhon ne sar zamen e hind ke logon ko tareeqa Alia Naqshbandia se aashna kya .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Kabul se hijrat karkay pehlay aap Lahore tashreef  farma hue, kuch arsa Lahore mein qiyam ke baad Dehli tashreef  le gaye aur aakhir tak wahein qiyam farma rahay. Aap Rahmatullah Alayh ki fazeelat ke liye yahi kaafi hai kay Hazrat Imam Rabbani Mujaddad Alif sani Rahmatullah Alayh aap ke khalifa o naib hain. Neez bain al aqwami shohrat ke haamil Muhaddas o fiqiya Hazrat Sheikh Abdal Haq Muhaddas dehalvi Rahmatullah Alayh bhi aap se fizyab hue aur unhon ne apne risala mein yeh tasreeh farmai kay nisbat fanaa o baqa haasil karne ke liye tareeqa Alia Naqshbandia  se behtar aur koi tareeqa nahi. Ijaz o inkisari ( jo kay faqeeri ka aik khaasa hai ) ka aap par is qader ghalba rehta tha kay agar kisi faqeer se koi ghalti sarzad ho jati to farmatay thay Ye faqeer becharay kya karen, yeh to hamari sift ka assar hai jo is par munakis  howa hai “ Rizq e halal ka aap khasoosi ahetmam farmatay thay aur faqeero se farmatay thay agar tum aik hazaar saal tak bhi zikar karte raho magar tumhara khana rizaq e halal maal se nahi hai to tumhara Rohani maqsad kabhi haasil nahi ho sakta. Sirf  khana hi nahi balkay jalanay ke lakri, bartan aur pani bhi halal zaraye se haasil honi chahiye .

Aap farmatay thay kay hamaray tareeqa ka madaar teen baton par hai .

1. Ahal sunnat wa-aljamaat ke aqaed par saabit qadam rehna .

2. Doam aagahi .

3. Ibadat .

Kisi ne aap se arz kya kay Hazrat Allah Taala ki mohabbat ki alamat kya hai? Jawab mein irshad farmaya Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ka mukammal itebaa karna. Is mukhlis ne dobarah arz kya mumkin hai kay itebaa karnay wala ka maqsood husool jannat ya jahannum ke azaab se nijaat ho? Farmaya aisa tabedari karne wala kacha hai mukammal itebaa karne wala nahi hai .

25 Jamaad  al Sani 1012 Hijri baroz hafta Sooraj ghuroob honay mein abhi kuch der thi kay asp ba awaaz e  buland zikar ism e zaat mein mashgool ho gaye aur Allah Allah kehte hue rohaniyat ka yeh aftaab rehmat e Elahi  ki shafaq mein ghuroob ho gaya. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Umar mubarak faqat 40 Chalees baras hui. Aap ka mazaar Dehli mein Qutub road par qadam shareef  ke nazdeek ziyarat gaah khaas o aam hai .